Skip to content

Mayuri’s Journey – My MukkaMaar Fellowship Experience

Sharmane wali ladki ab bindas girl ban gayi hai.

Fellowship mein aake mere life ko dekhne ka nazariya badal gaya hai. Before MukkaMaar main aisa sochti thi ki main ye sab nahi kar paungi. Kaise soch sakte hai, equality bhi ho sakti hai, critical thinking kaise hota hai, situation khudki handle nahi hoti. Kya hai idhar kaise karenge aage ye sab sochke tension bhi aata tha ki kaise hoga. Ab aayi hoon mein idhar khud ko change karne. Kya khud ko change karna
itna mushkil hai? After 1 year of MukkaMaar, main baan gayi hoon ek girl jo self love karne lagi hai, khud ko priority dene lagi hain, na bolna sikh gayi hain, usko pata hai abhi ki uski bhi raye maaine rakhti hai, vo critical situation se bhi bahar aana janti hai, baccho ke bare me soch rahi hai aur unke liye ek accha ideal ban rahi hai. Journey kaha se kaha tak chali gayi. Jo bhi hua life me usse bahut sikhne mila. Galti bhi bahut kiye aur unhe sambhala bhi khud se hi. Maine partner work iske pehle nahi kiya tha, lekin partner ke sath kaise manage karke work karte maine vo sikha hai.

Women can be leaders. Women can do anything.

Mere school ke bacchon ka confidence badte huye dikha hai mujhe. Baccho se bahut sari cheezein sikhne mili hai. Unke sapne, unka confidence, unke dreams- this is a beautiful journey I have experienced. The best phase of my life MukkaMaar has given to me. Ready to see the coming year change.

Back To Top